kahin paida koi majnun kahin farhad karte hain
kahīñ paidā koī majnūñ kahīñ farhād karte haiñ
vafā ke naam par taaza sitam ījād karte haiñ
kisī ke dil meñ basne ke liye fariyād karte haiñ
magar ahl-e-jahāñ zālim hameñ barbād karte haiñ
ka.ī aise adhūre kaam haiñ is ke 'alāva bhī
ye ḳhush-fahmī na rakhnā ham tumheñ hī yaad karte haiñ
yaqīñ maano kisī se mashvara karte nahīñ haiñ ham
murīd-e-‘ishq haiñ aur 'ishq ko ustād karte haiñ
tire aane se kyā mastī chaḌhī bastī ke logoñ par
parindoñ ko rihā par chuum kar sayyād karte haiñ
'atā' ham ko zamāne se alag karne kī ḳhvāhish hai
vo ham karte nahīñ jo dūsre afrād karte haiñ
kahin paida koi majnun kahin farhad karte hain
wafa ke nam par taza sitam ijad karte hain
kisi ke dil mein basne ke liye fariyaad karte hain
magar ahl-e-jahan zalim hamein barbaad karte hain
kai aise adhure kaam hain is ke 'alawa bhi
ye KHush-fahmi na rakhna hum tumhein hi yaad karte hain
yaqin mano kisi se mashwara karte nahin hain hum
murid-e-‘ishq hain aur 'ishq ko ustad karte hain
tere aane se kya masti chaDhi basti ke logon par
parindon ko riha par chum kar sayyaad karte hain
'ata' hum ko zamane se alag karne ki KHwahish hai
wo hum karte nahin jo dusre afrad karte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.