kahin pe dhup kahin par hain saeban bahut
kahīñ pe dhuup kahīñ par haiñ sā.ebān bahut
qadam qadam pe haiñ duniyā meñ imtihān bahut
mujhe sipurd to logoñ ne kar diyā us ke
magar aziiz hai qātil ko merī jaan bahut
agar ye chāhe to ik pal meñ inqalāb aa.e
hamārī qaum meñ aise haiñ naujavān bahut
magar darāḌ na aane dī maiñ ne rishte meñ
bhare haiñ logoñ ne vaise to mere kaan bahut
ye dukh hai us ko na shabnam-fishāniyāñ samjho
zamīñ ke haal pe royā hai āsmān bahut
kahin pe dhup kahin par hain saeban bahut
qadam qadam pe hain duniya mein imtihan bahut
mujhe sipurd to logon ne kar diya us ke
magar aziz hai qatil ko meri jaan bahut
agar ye chahe to ek pal mein inqalab aae
hamari qaum mein aise hain naujawan bahut
magar daraD na aane di main ne rishte mein
bhare hain logon ne waise to mere kan bahut
ye dukh hai us ko na shabnam-fishaniyan samjho
zamin ke haal pe roya hai aasman bahut
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.