kahin pe gard kahin par hawa banati hun
kahīñ pe gard kahīñ par havā banātī huuñ
maiñ ḳhud ko ab to bas apne sivā banātī huuñ
kahīñ pe taare kahīñ par haiñ aas ke jugnū
ḳhizāñ meñ bhī maiñ guloñ kī fazā banātī huuñ
bikhar ga.e the kisī naam ke hurūf kahīñ
ab un ko joḌ kar ik aa.ina banātī huuñ
ye tai hai us ko agar lauT kar nahīñ aanā
to kis liye maiñ duā ko asā banātī huuñ
ujāltā hai ye tārīkiyāñ mire dil kī
tumhārī yaad ko har pal diyā banātī huuñ
jab apne ashk chhupātī huuñ muskurāhaT se
to apne dard ko apnī davā banātī huuñ
tarāsh kar kisī patthar ke ek paikar ko
kamāl-e-ishq se us ko ḳhudā banātī huuñ
ki ḳhvāb meñ rahe tā-der guftugū tujh se
zarā sī baat ko maiñ vāqi.a banātī huuñ
sunā thā maiñ ne jo 'shāhīn' ek lamhe ko
is ek lamhe ko apnī sadā banātī huuñ
kahin pe gard kahin par hawa banati hun
main KHud ko ab to bas apne siwa banati hun
kahin pe tare kahin par hain aas ke jugnu
KHizan mein bhi main gulon ki faza banati hun
bikhar gae the kisi nam ke huruf kahin
ab un ko joD kar ek aaina banati hun
ye tai hai us ko agar lauT kar nahin aana
to kis liye main dua ko asa banati hun
ujalta hai ye tarikiyan mere dil ki
tumhaari yaad ko har pal diya banati hun
jab apne ashk chhupati hun muskurahaT se
to apne dard ko apni dawa banati hun
tarash kar kisi patthar ke ek paikar ko
kamal-e-ishq se us ko KHuda banati hun
ki KHwab mein rahe ta-der guftugu tujh se
zara si baat ko main waqia banati hun
suna tha main ne jo 'shahin' ek lamhe ko
is ek lamhe ko apni sada banati hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.