kahin pe hijr ka dukh hai kahin visal ka dukh
kahīñ pe hijr kā dukh hai kahīñ visāl kā dukh
mirī jabīñ pe huā sabt har malāl kā dukh
mujhe ye Dar hai kahīñ ḳhud-kushī na kar lo tum
tumhārī ziist meñ aayā agar zavāl kā dukh
vo ik savāl ki jis kā javāb de na sake
hanūz kāTtā rahtā hai is savāl kā dukh
usī kī yaad meñ guzregī zindagī merī
jo jaate jaate mujhe de gayā kamāl kā dukh
hamārī aañkh kī putlī meñ ashk kī sūrat
chamak rahā hai kisī shahr-e-be-misāl kā dukh
kahin pe hijr ka dukh hai kahin visal ka dukh
meri jabin pe hua sabt har malal ka dukh
mujhe ye Dar hai kahin KHud-kushi na kar lo tum
tumhaari zist mein aaya agar zawal ka dukh
wo ek sawal ki jis ka jawab de na sake
hanuz kaTta rahta hai is sawal ka dukh
usi ki yaad mein guzregi zindagi meri
jo jate jate mujhe de gaya kamal ka dukh
hamari aankh ki putli mein ashk ki surat
chamak raha hai kisi shahr-e-be-misal ka dukh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.