kahin pe qais kahin kohkan miyan likkha
kahīñ pe qais kahīñ kohkan miyāñ likkhā
tumhāre shauq ne kyā kyā kahāñ kahāñ likkhā
likhā tumhīñ ne qafas ko maqām-e-āgāhī
visāl-e-dār kī shab sub.h kī azaañ likkhā
likhā tumhīñ ne lahū se kamāl-e-goyā.ī
tum hī ne ḳhanjar-e-qātil ko hai zabāñ likkhā
likhā tumhīñ ne mirī chashm-e-nam ko qulzum-e-ḳhvāb
tum hī ne us ke tasavvur ko bādbāñ likkhā
tumhīñ ne mauj-e-tamannā ko sar-e-kashīda kahā
tum hī ne ḳhvāhish-e-sāhil ko sargirāñ likkhā
tumhīñ to naqsh-e-kaf-e-pā-e-yār likhte rahe
tum hī ne kūcha-e-jānāñ ko lā-makāñ likkhā
likhā tumhīñ ne hai sahrā ko dāġh-e-sīna-e-ishq
tum hī ne ābla-pā.ī se kahkashāñ likkhā
likhā tumhī ne mirī bebasī kā saarā hisāb
tumhī ne mujh ko shah-e-ḳhusrav-e-zamāñ likhā
to ab tumhāre liye koī kyā likhegā 'ra.īs'
ki jis ne kuchh na kiyā umr-e-rā.egāñ likkhā
kahin pe qais kahin kohkan miyan likkha
tumhaare shauq ne kya kya kahan kahan likkha
likha tumhin ne qafas ko maqam-e-agahi
visal-e-dar ki shab subh ki azan likkha
likha tumhin ne lahu se kamal-e-goyai
tum hi ne KHanjar-e-qatil ko hai zaban likkha
likha tumhin ne meri chashm-e-nam ko qulzum-e-KHwab
tum hi ne us ke tasawwur ko baadban likkha
tumhin ne mauj-e-tamanna ko sar-e-kashida kaha
tum hi ne KHwahish-e-sahil ko sargiran likkha
tumhin to naqsh-e-kaf-e-pa-e-yar likhte rahe
tum hi ne kucha-e-jaanan ko la-makan likkha
likha tumhin ne hai sahra ko dagh-e-sina-e-ishq
tum hi ne aabla-pai se kahkashan likkha
likha tumhi ne meri bebasi ka sara hisab
tumhi ne mujh ko shah-e-KHusraw-e-zaman likha
to ab tumhaare liye koi kya likhega 'rais'
ki jis ne kuchh na kiya umr-e-raegan likkha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.