kahin pe rizq kahin par hai ghar parindon ka
kahin pe rizq kahin par hai ghar parindon ka
Azimuddin Sahil Kalamnoori
MORE BYAzimuddin Sahil Kalamnoori
kahīñ pe rizq kahīñ par hai ghar parindoñ kā
hazāroñ miil hai lambā safar parindoñ kā
kahīñ chaTānoñ pe Daalī pe aur chhatoñ meñ bhī
kahāñ kahāñ nahīñ rahtā hai ghar parindoñ kā
suhānī sub.h na hotī na hotī shaam hasīñ
vajūd duniyā meñ hotā na gar parindoñ kā
ye joḌ lete haiñ tinkoñ se kis tarah tinke
samajh sakā na koī bhī hunar parindoñ kā
likhā hai jitnā muqaddar meñ rizq khāte haiñ
na jaane kyoñ hai kisānoñ ko Dar parindoñ kā
shikārī taak meñ baiThe haiñ jaal phailā.e
idhar ḳhudā na kare ho guzar parindoñ kā
sukūn-o-amn ho qaa.em jahāñ meñ phir 'sāhil'
ai kaash le le ab insāñ asar parindoñ kā
kahin pe rizq kahin par hai ghar parindon ka
hazaron mil hai lamba safar parindon ka
kahin chaTanon pe Dali pe aur chhaton mein bhi
kahan kahan nahin rahta hai ghar parindon ka
suhani subh na hoti na hoti sham hasin
wajud duniya mein hota na gar parindon ka
ye joD lete hain tinkon se kis tarah tinke
samajh saka na koi bhi hunar parindon ka
likha hai jitna muqaddar mein rizq khate hain
na jaane kyon hai kisanon ko Dar parindon ka
shikari tak mein baiThe hain jal phailae
idhar KHuda na kare ho guzar parindon ka
sukun-o-amn ho qaem jahan mein phir 'sahil'
ai kash le le ab insan asar parindon ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.