kahin rukne lagi hai kashti-e-umr-e-rawan shayad
kahīñ rukne lagī hai kashti-e-umr-e-ravāñ shāyad
zamīñ chhūne lagī hai ab ke hadd-e-āsmāñ shāyad
mujhe us ne talab farmāyā hai maidān-e-hastī se
use phir yaad aayā hai koī kār-e-jahāñ shāyad
ubhartī aa rahī hai ek duniyā aur hī koī
makāñ ke saath miltā jā rahā hai lā-makāñ shāyad
badal dekhūñ charāġh-e-shauq se maiñ bhī charāġh apnā
mere ghar se nikal jaa.e isī sūrat dhuāñ shāyad
kiran Thahrī nahīñ hai ḳhvāb ke parde meñ bhī aakar
khulī hī rah ga.ī thiiñ ḳhvāb meñ bhī khiḌkiyāñ shāyad
chalo maiñ bhī koī saudā karūñ is bār-e-hastī kā
khulī ho bām-e-hast-o-būd par us kī dukāñ shāyad
mire aur us ke biich ik dhund sī maujūd rahtī hai
ye duniyā aa rahī hai mere us ke darmiyāñ shāyad
kahin rukne lagi hai kashti-e-umr-e-rawan shayad
zamin chhune lagi hai ab ke hadd-e-asman shayad
mujhe us ne talab farmaya hai maidan-e-hasti se
use phir yaad aaya hai koi kar-e-jahan shayad
ubharti aa rahi hai ek duniya aur hi koi
makan ke sath milta ja raha hai la-makan shayad
badal dekhun charagh-e-shauq se main bhi charagh apna
mere ghar se nikal jae isi surat dhuan shayad
kiran Thahri nahin hai KHwab ke parde mein bhi aakar
khuli hi rah gai thin KHwab mein bhi khiDkiyan shayad
chalo main bhi koi sauda karun is bar-e-hasti ka
khuli ho baam-e-hast-o-bud par us ki dukan shayad
mere aur us ke bich ek dhund si maujud rahti hai
ye duniya aa rahi hai mere us ke darmiyan shayad
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.