kahin sawan mein baadal jhum kar aaya nahin ab tak
kahin sawan mein baadal jhum kar aaya nahin ab tak
Om Prakash Laghar
MORE BYOm Prakash Laghar
kahīñ sāvan meñ bādal jhuum kar aaya nahīñ ab tak
kisī ne giit bhī malhār kā gaayā nahīñ ab tak
use ehsās-e-āzādī agar ho bhī to kyūñkar ho
rihā ho kar jo qaidī qaid se aaya nahīñ ab tak
asīrī par kisī bebas kī hai sayyād abhī nāzāñ
ḳhudā kā ḳhauf us ke dil meñ kyoñ aaya nahīñ ab tak
zamāna-sāz hone kī zarūrat thī zamāne meñ
zamāna-sāz honā hī hameñ aaya nahīñ ab tak
shab-e-furqat hamārā hichkiyoñ se dam nikal jaatā
ḳhudā kā shukr tum ne yaad farmāyā nahīñ ab tak
yaqīnan murshid-e-kāmil kī shafqat kā natīja hai
havas ke jaal meñ 'lāġhar' kabhī aaya nahīñ ab tak
kahin sawan mein baadal jhum kar aaya nahin ab tak
kisi ne git bhi malhaar ka gaya nahin ab tak
use ehsas-e-azadi agar ho bhi to kyunkar ho
riha ho kar jo qaidi qaid se aaya nahin ab tak
asiri par kisi bebas ki hai sayyaad abhi nazan
KHuda ka KHauf us ke dil mein kyon aaya nahin ab tak
zamana-saz hone ki zarurat thi zamane mein
zamana-saz hona hi hamein aaya nahin ab tak
shab-e-furqat hamara hichkiyon se dam nikal jata
KHuda ka shukr tum ne yaad farmaya nahin ab tak
yaqinan murshid-e-kaamil ki shafqat ka natija hai
hawas ke jal mein 'laghar' kabhi aaya nahin ab tak
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.