kahin saza to kahin par jaza gulab ka phul
kahīñ sazā to kahīñ par jazā gulāb kā phuul
marīz-e-ḳhār kī kāmil davā gulāb kā phuul
kisī ke hijr kī kul dāstān hotā hai
kisī kī qabr pe ugtā huā gulāb kā phuul
kahīñ ġharīb ke bachche ko roTī mil na sakī
kahīñ vazīr pe pheñkā gayā gulāb kā phuul
jahāñ pe ishq-o-mohabbat sire se the hī nahīñ
vahāñ bhī ishq-o-mohabbat banā gulāb kā phuul
ḳhabar milī use jab mere lauT jaane kī
tab us ke haath se yak-dam girā gulāb kā phuul
phir us ne sahn meñ kīkar ugā liye qasdan
jab us ke sahn meñ na ug sakā gulāb kā phuul
furāt bhī thā vahīñ paas meñ magar afsos
balā-e-dasht meñ jaltā rahā gulāb kā phuul
shurūa din se maiñ be-zauq thā so maiñ ne 'alī'
kabhī diyā na kisī se liyā gulāb kā phuul
kahin saza to kahin par jaza gulab ka phul
mariz-e-KHar ki kaamil dawa gulab ka phul
kisi ke hijr ki kul dastan hota hai
kisi ki qabr pe ugta hua gulab ka phul
kahin gharib ke bachche ko roTi mil na saki
kahin wazir pe phenka gaya gulab ka phul
jahan pe ishq-o-mohabbat sire se the hi nahin
wahan bhi ishq-o-mohabbat bana gulab ka phul
KHabar mili use jab mere lauT jaane ki
tab us ke hath se yak-dam gira gulab ka phul
phir us ne sahn mein kikar uga liye qasdan
jab us ke sahn mein na ug saka gulab ka phul
furaat bhi tha wahin pas mein magar afsos
bala-e-dasht mein jalta raha gulab ka phul
shurua din se main be-zauq tha so main ne 'ali'
kabhi diya na kisi se liya gulab ka phul
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.