kahin se chand kahin se qutub-numa nikla
kahīñ se chāñd kahīñ se qutub-numā niklā
qadam jo ghar se nikālā to rāsta niklā
jalāyā dhuup meñ ḳhud ko to ek saaya sā
hamāre jism kī dīvār se lagā niklā
tamām-umr bhaTaktā rahā maiñ tere liye
tirā vajūd hī hastī kā mudda.ā niklā
tumhārī āñkhoñ meñ sadiyoñ kī pyaas Duub ga.ī
hamārī ruuh se ehsās-e-karbalā niklā
gurez karne lagā hai tire ḳhayāl se bhī
hamārā dil bhī tirī tarah bevafā niklā
mirā hī naam kabhī 'mīr' thā ġhazal vaalo
na.e safar meñ bhī merā hī naqsh-e-pā niklā
charāġh ghar meñ jalā chhoḌ kar ga.e the 'shakīl'
safar se lauTe to sab kuchh bujhā bujhā niklā
kahin se chand kahin se qutub-numa nikla
qadam jo ghar se nikala to rasta nikla
jalaya dhup mein KHud ko to ek saya sa
hamare jism ki diwar se laga nikla
tamam-umr bhaTakta raha main tere liye
tera wajud hi hasti ka muddaa nikla
tumhaari aankhon mein sadiyon ki pyas Dub gai
hamari ruh se ehsas-e-karbala nikla
gurez karne laga hai tere KHayal se bhi
hamara dil bhi teri tarah bewafa nikla
mera hi nam kabhi 'mir' tha ghazal walo
nae safar mein bhi mera hi naqsh-e-pa nikla
charagh ghar mein jala chhoD kar gae the 'shakil'
safar se lauTe to sab kuchh bujha bujha nikla
- Book : Dhoop Dariya (Pg. 38)
- Author : Shakeel Azmi
- Publication : Arshia Publications (2016)
- Edition : 2016
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.