kahin se DhunDh kar to lao mujhko
kahīñ se DhūñDh kar to laao mujh ko
agar phir ho sake mil jaao mujh ko
mohabbat jald-bāzī dekh lī nā
samajh kar soch kar Thukrāo mujh ko
tumheñ to sab farishte jānte haiñ
mirī jannat kabhī dikhlāo mujh ko
barā.e she'r hī kah do koī she'r
mazāqan hī kabhī mil jaao mujh ko
sivā.e tum jahāñ koī nahīñ ho
kisī aisī jagah chhoḌ aao mujh ko
kahin se DhunDh kar to lao mujh ko
agar phir ho sake mil jao mujh ko
mohabbat jald-bazi dekh li na
samajh kar soch kar Thukrao mujh ko
tumhein to sab farishte jaante hain
meri jannat kabhi dikhlao mujh ko
barae she'r hi kah do koi she'r
mazaqan hi kabhi mil jao mujh ko
siwae tum jahan koi nahin ho
kisi aisi jagah chhoD aao mujh ko
- Book : Aakhiri Ishq Sabse Pahle Kiya (Pg. 106)
- Author : Nomaan Shauque
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.