Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kahin shunwai nahin husn ki mahfil ke KHilaf

Waheed Akhtar

kahin shunwai nahin husn ki mahfil ke KHilaf

Waheed Akhtar

MORE BYWaheed Akhtar

    kahīñ shunvā.ī nahīñ husn mahfil ke ḳhilāf

    gul na kyuuñ hañste raheñ shor-e-anādil ke ḳhilāf

    jān-o-īmāñ bhī vahī dushman-e-jān-o-īmāñ

    ham gavāhī bhī na deñge kahīñ qātil ke ḳhilāf

    kisī jaade pe chalo chhoḌegī tanhā.ī na saath

    qadam uTTheñ to kidhar 'ishq manzil ke ḳhilāf

    bazm-e-yārāñ ho ki mai naġhma ke faizān-e-suḳhan

    sab haiñ sāzish meñ sharīk us mire dil ke ḳhilāf

    hijr meñ ke bahalne ke the jitne hiile

    vahshat ik saath rahī ho ga.e sab mil ke ḳhilāf

    isī āġhosh meñ dam toḌeñgī aa kar maujeñ

    bhāgtī phirtī haiñ bekār sāhil ke ḳhilāf

    aql-e-duniyā tumheñ dā'vā hai be-vaj.h 'vahīd'

    do-qadam chal nahīñ sakte kabhī tum dil ke ḳhilāf

    kahin shunwai nahin husn ki mahfil ke KHilaf

    gul na kyun hanste rahen shor-e-anadil ke KHilaf

    jaan-o-iman bhi wahi dushman-e-jaan-o-iman

    hum gawahi bhi na denge kahin qatil ke KHilaf

    kisi jade pe chalo chhoDegi tanhai na sath

    qadam uTThen to kidhar 'ishq ki manzil ke KHilaf

    bazm-e-yaran ho ki mai naghma ke faizan-e-suKHan

    sab hain sazish mein sharik us ki mere dil ke KHilaf

    hijr mein ji ke bahalne ke the jitne hile

    wahshat ek sath rahi ho gae sab mil ke KHilaf

    isi aaghosh mein dam toDengi aa kar maujen

    bhagti phirti hain bekar hi sahil ke KHilaf

    aql-e-duniya ka tumhein da'wa hai be-wajh 'wahid'

    do-qadam chal nahin sakte kabhi tum dil ke KHilaf

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now