kahin tha main mujhe hona kahin tha
kahīñ thā maiñ mujhe honā kahīñ thā
maiñ dariyā thā magar sahrā-nashīñ thā
shikast-o-reḳht kaisī fat.h kaisī
ki jab koī muqābil hī nahīñ thā
mile the ham to mausam hañs diye the
jahāñ jo bhī milā ḳhandāñ-jabīñ thā
saverā thā shab-e-tīra ke aage
jahāñ dīvār thī rasta vahīñ thā
milī manzil kise kār-e-vafā meñ
magar ye rāsta kitnā hasīñ thā
jilau meñ tishnagī āñkhoñ meñ sāhil
kahīñ siine meñ sahrā jā-guzīñ thā
kahin tha main mujhe hona kahin tha
main dariya tha magar sahra-nashin tha
shikast-o-reKHt kaisi fath kaisi
ki jab koi muqabil hi nahin tha
mile the hum to mausam hans diye the
jahan jo bhi mila KHandan-jabin tha
sawera tha shab-e-tira ke aage
jahan diwar thi rasta wahin tha
mili manzil kise kar-e-wafa mein
magar ye rasta kitna hasin tha
jilau mein tishnagi aankhon mein sahil
kahin sine mein sahra ja-guzin tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.