kahin to intiha bhi ho kisi ke intizar ki
kahīñ to intihā bhī ho kisī ke intizār kī
jiyeñge aur kab talak ye zindagī udhār kī
milegī fat.h yā shikast vaqt hī batā.egā
maiñ laḌ rahā huuñ zindagī se jañg ār-pār kī
bhaTak rahe the muddatoñ se ham bhī jism-o-jāñ liye
use bhī ek umr se talāsh thī shikār kī
samajh sake na ham kabhī kisī kī be-yaqīniyāñ
bharī huī thī aañkh meñ to dhuul e'tibār kī
junūñ havā taḌap huī ḳhalish huī ki ġham huā
ye daulateñ haiñ ishq kī ye ne.amateñ hai pyaar kī
qadam mire jam hue haiñ ek hī maqām par
vo khīñch kar chalā gayā lakīr yuuñ hisār kī
use kisī kī tarah kyuuñ batā rahe ho ai 'pavan'
misāl DhūñDte ho kyuuñ ḳhudā ke shāhkār kī
kahin to intiha bhi ho kisi ke intizar ki
jiyenge aur kab talak ye zindagi udhaar ki
milegi fath ya shikast waqt hi bataega
main laD raha hun zindagi se jang aar-par ki
bhaTak rahe the muddaton se hum bhi jism-o-jaan liye
use bhi ek umr se talash thi shikar ki
samajh sake na hum kabhi kisi ki be-yaqiniyan
bhari hui thi aankh mein to dhul e'tibar ki
junun hawa taDap hui KHalish hui ki gham hua
ye daulaten hain ishq ki ye neamaten hai pyar ki
qadam mere jam hue hain ek hi maqam par
wo khinch kar chala gaya lakir yun hisar ki
use kisi ki tarah kyun bata rahe ho ai 'pawan'
misal DhunDte ho kyun KHuda ke shahkar ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.