kahin wo meri mohabbat mein ghul raha hi na ho
kahīñ vo merī mohabbat meñ ghul rahā hī na ho
ḳhudā kare use ye tajraba huā hī na ho
supurdagī mirā me.aar to nahīñ lekin
maiñ sochtā huuñ tire ruup meñ ḳhudā hī na ho
maiñ tujh ko pā ke bhī kis shaḳhs kī talāsh meñ huuñ
mire ḳhayāl meñ koī tire sivā hī na ho
vo uzr kar ki mire dil ko bhī yaqīñ aa.e
vo giit gā ki jo maiñ ne kabhī sunā hī na ho
vo baat kar jise phailā ke maiñ ġhazal kah luuñ
sunā.ūñ sher jo maiñ ne abhī likhā hī na ho
sahar ko dil kī taraf ye dhuāñ sā kaisā hai
kahīñ ye merā diyā rāt-bhar jalā hī na ho
ho kaise jabr-e-mashiyat ko is duā kā lihāz
jo ek baar mile phir kabhī judā hī na ho
ye abr-o-kisht kī duniyā meñ kaise mumkin hai
ki umr-bhar kī vafā kā koī sila hī na ho
mirī nigāh meñ vo peḌ bhī hai bad-kirdār
ladā huā ho jo phal se magar jhukā hī na ho
jo dasht dasht se phūloñ kī bhiik māñgtā thā
kahīñ vo toḌ ke kashkol mar gayā hī na ho
tulū-e-sub.h ne chamkā diye haiñ abr ke chaak
'nadīm' ye mirā dāmān-e-mudda.ā hī na ho
kahin wo meri mohabbat mein ghul raha hi na ho
KHuda kare use ye tajraba hua hi na ho
supurdagi mera mear to nahin lekin
main sochta hun tere rup mein KHuda hi na ho
main tujh ko pa ke bhi kis shaKHs ki talash mein hun
mere KHayal mein koi tere siwa hi na ho
wo uzr kar ki mere dil ko bhi yaqin aae
wo git ga ki jo main ne kabhi suna hi na ho
wo baat kar jise phaila ke main ghazal kah lun
sunaun sher jo main ne abhi likha hi na ho
sahar ko dil ki taraf ye dhuan sa kaisa hai
kahin ye mera diya raat-bhar jala hi na ho
ho kaise jabr-e-mashiyat ko is dua ka lihaz
jo ek bar mile phir kabhi juda hi na ho
ye abr-o-kisht ki duniya mein kaise mumkin hai
ki umr-bhar ki wafa ka koi sila hi na ho
meri nigah mein wo peD bhi hai bad-kirdar
lada hua ho jo phal se magar jhuka hi na ho
jo dasht dasht se phulon ki bhik mangta tha
kahin wo toD ke kashkol mar gaya hi na ho
tulu-e-subh ne chamka diye hain abr ke chaak
'nadim' ye mera daman-e-muddaa hi na ho
- Book : Intekhab-e-Kulliyat-e-ahmed Nadeem Qasmi (Pg. 78)
- Author : Ahmed Nadeem Qasmi
- Publication : Farid Book Depot (Pvt.) Ltd. (2004)
- Edition : 2004
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.