Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kahin ye lamha-e-maujud wahima hi na ho

Ziaul Mustafa Turk

kahin ye lamha-e-maujud wahima hi na ho

Ziaul Mustafa Turk

MORE BYZiaul Mustafa Turk

    kahīñ ye lamha-e-maujūd vāhima na ho

    jo ho rahā hai ye sab pahle ho chukā na ho

    vo sadma jis ke sabab maiñ huuñ sar-ba-zānū abhī

    ajab nahīñ mirī dānist meñ huā na ho

    tire ġhayāb meñ jo kuchh kiyā hikāyat maiñ

    kahīñ vo gufta o nā-gufta se sivā na ho

    kalām kartī huī lahreñ chup na hoñ mire baad

    mire liye kahīñ paanī rukā huā na ho

    guzartī shaam daraḳht aabjū sukūt aur maiñ

    suḳhan-misāl ye manzar bhī gūñjtā na ho

    ye kyā ki maiñ nayā chehra liye uThūñ har roz

    ye kyā ki 'turk' mirā ḳhvāb TūTtā na ho

    kahin ye lamha-e-maujud wahima hi na ho

    jo ho raha hai ye sab pahle ho chuka hi na ho

    wo sadma jis ke sabab main hun sar-ba-zanu abhi

    ajab nahin meri danist mein hua hi na ho

    tere ghayab mein jo kuchh kiya hikayat main

    kahin wo gufta o na-gufta se siwa hi na ho

    kalam karti hui lahren chup na hon mere baad

    mere liye kahin pani ruka hua hi na ho

    guzarti sham daraKHt aabju sukut aur main

    suKHan-misal ye manzar bhi gunjta hi na ho

    ye kya ki main naya chehra liye uThun har roz

    ye kya ki 'turk' mera KHwab TuTta hi na ho

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now