kahin zagh ki rasai kisi gosha-e-chaman mein
kahīñ zaaġh kī rasā.ī kisī gosha-e-chaman meñ
kahīñ ḳhvāb to nahīñ hai mirā zikr anjuman meñ
maiñ kabhī harīm-e-gul meñ kabhī gosha-e-chaman meñ
tujhe DhūñDhtā rahā huuñ maiñ har ek anjuman meñ
vo latīf kaifiyat jo tirī chashm kī atā hai
ye vadī.at-e-ilāhī kahāñ bāda-e-kuhan meñ
vo hasīñ javāñ the kitne mirī zindagī ke hāsil
jo mile the chand lamhe mujhe terī anjuman meñ
nahīñ azm jis kā tanhā maiñ vo rahrav-e-adam huuñ
mire dil kī hasrateñ bhī mire saath haiñ kafan meñ
sar-e-bazm un kī mujh par jo navāzish-e-karam hai
mire hāsidoñ ke 'tālib' lagī aag tan-badan meñ
kahin zagh ki rasai kisi gosha-e-chaman mein
kahin KHwab to nahin hai mera zikr anjuman mein
main kabhi harim-e-gul mein kabhi gosha-e-chaman mein
tujhe DhunDhta raha hun main har ek anjuman mein
wo latif kaifiyat jo teri chashm ki ata hai
ye wadiat-e-ilahi kahan baada-e-kuhan mein
wo hasin jawan the kitne meri zindagi ke hasil
jo mile the chand lamhe mujhe teri anjuman mein
nahin azm jis ka tanha main wo rahraw-e-adam hun
mere dil ki hasraten bhi mere sath hain kafan mein
sar-e-bazm un ki mujh par jo nawazish-e-karam hai
mere hasidon ke 'talib' lagi aag tan-badan mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.