kahin zahir ye teri chah na ki
kahīñ zāhir ye terī chaah na kī
marte marte bhī ham ne aah na kī
tū nigah kī na kī ḳhudā jaane
ham to Dar se kabhū nigāh na kī
sab ke jī meñ ye naala ho guzrā
ek tere hī dil meñ raah na kī
aah mar ga.e pa nā-tavānī
ek bhī aah sarbarāh na kī
vo kisū aur se karegā kyā
jin ne tujh se 'asar' nibāh na kī
kahin zahir ye teri chah na ki
marte marte bhi hum ne aah na ki
tu nigah ki na ki KHuda jaane
hum to Dar se kabhu nigah na ki
sab ke ji mein ye nala ho guzra
ek tere hi dil mein rah na ki
aah mar gae pa na-tawani
ek bhi aah sarbarah na ki
wo kisu aur se karega kya
jin ne tujh se 'asar' nibah na ki
- Deewan-e-asar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.