kahin zamin ke par aur aasman ke par
kahīñ zamīn ke paar aur āsmān ke paar
parinde DhūñD rahe haiñ ghar is jahān ke paar
maiñ thak chukā huuñ tirā intizār karte hue
magar pukār rahā hai koī thakān ke paar
bichhaḌ ke ro rahā hai is qadar kahānī se
pahuñch gayā thā vo kirdār dāstān ke paar
maiñ tere vasl kī shiddat se ḳhuub vāqif huuñ
mujhe milo to milo jism ke makān ke paar
tumhāre zikr kā me.aar ḳhuub gahrā hai
ḳhamoshiyoñ se kahīñ aage is zabān ke paar
yaqīñ kā haath pakaḌ lo ye mashvara hai mirā
bas ek ujḌā huā dasht hai gumān ke paar
kahin zamin ke par aur aasman ke par
parinde DhunD rahe hain ghar is jahan ke par
main thak chuka hun tera intizar karte hue
magar pukar raha hai koi thakan ke par
bichhaD ke ro raha hai is qadar kahani se
pahunch gaya tha wo kirdar dastan ke par
main tere wasl ki shiddat se KHub waqif hun
mujhe milo to milo jism ke makan ke par
tumhaare zikr ka mear KHub gahra hai
KHamoshiyon se kahin aage is zaban ke par
yaqin ka hath pakaD lo ye mashwara hai mera
bas ek ujDa hua dasht hai guman ke par
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.