kahiye achchha jo kisi se to bura lagta hai
kahiye achchhā jo kisī se to burā lagtā hai
kalma-e-ḳhair namak-pāsh zarā lagtā hai
maiñ nahīñ jāntā koī yahāñ kyā lagtā hai
jaane kyoñ shahr tirā shahr mirā lagtā hai
kusht-o-ḳhūn aisā ki shāyad na huā hogā kabhī
dushman insān kā insān huā lagtā hai
kaun kis se hai fuzūñ ḳhalq meñ kis tarah khule
har hunar-mand yahāñ ḳhud se sivā lagtā hai
hosh-mand aise kahāñ ke haiñ ye arbāb-e-nashāt
jī kā janjāl sab un kā hī diyā lagtā hai
tāb-e-goyā.ī rahe yā na rahe aaj ke baad
sun lo do bol ki kuchh dard thamā lagtā hai
aisā bikhrā huuñ ki mushkil hai simaTnā merā
mere dil meñ koī kāñTā sā chubhā lagtā hai
jis kā jī chāhe vo mahfil kī satā.ish kar le
ek parda sā nigāhoñ pe paḌā lagtā hai
gardish-e-pā hai ki baḌhne nahīñ detī aage
terā 'hāmid' tirī galiyoñ kā gadā lagtā hai
kahiye achchha jo kisi se to bura lagta hai
kalma-e-KHair namak-pash zara lagta hai
main nahin jaanta koi yahan kya lagta hai
jaane kyon shahr tera shahr mera lagta hai
kusht-o-KHun aisa ki shayad na hua hoga kabhi
dushman insan ka insan hua lagta hai
kaun kis se hai fuzun KHalq mein kis tarah khule
har hunar-mand yahan KHud se siwa lagta hai
hosh-mand aise kahan ke hain ye arbab-e-nashat
ji ka janjal sab un ka hi diya lagta hai
tab-e-goyai rahe ya na rahe aaj ke baad
sun lo do bol ki kuchh dard thama lagta hai
aisa bikhra hun ki mushkil hai simaTna mera
mere dil mein koi kanTa sa chubha lagta hai
jis ka ji chahe wo mahfil ki sataish kar le
ek parda sa nigahon pe paDa lagta hai
gardish-e-pa hai ki baDhne nahin deti aage
tera 'hamid' teri galiyon ka gada lagta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.