kahiye aisi baat jo dil mein laga de aag si
kahiye aisī baat jo dil meñ lagā de aag sī
kyā bhalā hogā kisī kā dāstān-e-tūr se
qaisar-o-askandar apnī qadrdānī kar ga.e
pūchh lete qīmat apnī kaash vo jamhūr se
kaifiyat nazāre kī hai fāsle par munhasir
kījiye nazāra kuchh nazdīk se kuchh duur se
duḳhtar-e-havvā se jo dekhā so dekhā dekhiye
rū-pazīr aḳhlāq kaise hoñ parī se huur se
kar sakā islāh-e-ālam kab koī jāda-numā
jo bhī tabdīlī huī millat ke nār-o-nūr se
kar gayā duniyā meñ bas vo inqalāb-añgez kaam
mil sakī fursat jise kuchh peT ke tanūr se
jaan bechāre ne dī duniyā ko pahuñchā ḳhaak faiz
aur bhī bigḌā zamāna da.ava-e-mansūr se
fā.eda insāf ke aa.iin se 'dīvāna' kyā
kuchh agar ummīd hai to rahm ke dastūr se
kahiye aisi baat jo dil mein laga de aag si
kya bhala hoga kisi ka dastan-e-tur se
qaisar-o-askandar apni qadrdani kar gae
puchh lete qimat apni kash wo jamhur se
kaifiyat nazare ki hai fasle par munhasir
kijiye nazara kuchh nazdik se kuchh dur se
duKHtar-e-hawwa se jo dekha so dekha dekhiye
ru-pazir aKHlaq kaise hon pari se hur se
kar saka islah-e-alam kab koi jada-numa
jo bhi tabdili hui millat ke nar-o-nur se
kar gaya duniya mein bas wo inqalab-angez kaam
mil saki fursat jise kuchh peT ke tanur se
jaan bechaare ne di duniya ko pahuncha KHak faiz
aur bhi bigDa zamana dawa-e-mansur se
faeda insaf ke aain se 'diwana' kya
kuchh agar ummid hai to rahm ke dastur se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.