kahkashan-e-gham se pur hai aasman-e-zindagi
kahkashān-e-ġham se pur hai āsmān-e-zindagī
aur zamīñ par har qadam hai imtihān-e-zindagī
kyā sunā.eñ aap ko ham dāstān-e-zindagī
ban gayā chehrā hamārā tarjumān-e-zindagī
jab tasavvur meñ tirā chehra nazar aane lagā
ho ga.ī rangīn-o-raushan dāstān-e-zindagī
kyā hameñ duniyā se shikva kyā shikāyat aap se
ban ga.e apne hī armāñ dushmanān-e-zindagī
jo vafā kī raah meñ qurbāniyāñ dete rahe
un se vābasta rahī duniyā meñ shān-e-zindagī
sar kaTā kar jiine vāloñ par hai nāzāñ kā.enāt
sar uThā kar kyā jiyeñge buzdilān-e-zindagī
the kabhī 'mashkūr' ham bhī raunaq-e-bazm-e-suḳhan
ham bhī shāmil the shumār-e-shā.irān-e-zindagī
kahkashan-e-gham se pur hai aasman-e-zindagi
aur zamin par har qadam hai imtihan-e-zindagi
kya sunaen aap ko hum dastan-e-zindagi
ban gaya chehra hamara tarjuman-e-zindagi
jab tasawwur mein tera chehra nazar aane laga
ho gai rangin-o-raushan dastan-e-zindagi
kya hamein duniya se shikwa kya shikayat aap se
ban gae apne hi arman dushmanan-e-zindagi
jo wafa ki rah mein qurbaniyan dete rahe
un se wabasta rahi duniya mein shan-e-zindagi
sar kaTa kar jine walon par hai nazan kaenat
sar uTha kar kya jiyenge buzdilan-e-zindagi
the kabhi 'mashkur' hum bhi raunaq-e-bazm-e-suKHan
hum bhi shamil the shumar-e-shairan-e-zindagi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.