kahkashan ke tanazur mein hum kya hamara sitara hai kya
kahkashan ke tanazur mein hum kya hamara sitara hai kya
Akbar Hyderabadi
MORE BYAkbar Hyderabadi
kahkashāñ ke tanāzur meñ ham kyā hamārā sitāra hai kyā
an-ginat āftāboñ kī aqlīm meñ ik sharāra hai kyā
kaun samjhe zabāñ barg-o-ashjār kī dasht-o-kohsār kī
kaun jaane ki is be-karāñ ḳhāmushī meñ ishāra hai kyā
ham mohabbat ko ik mansab-e-āshiqāna samajhte rahe
ye na sochā mohabbat kī saudāgarī meñ ḳhasāra hai kyā
ye tilism-e-tamāshā hai saarā jahāñ ik tilism-e-nazar
raushnī kā samundar haiñ āñkheñ magar āshkāra hai kyā
vo hai be-misl us ko usī ke havāle se samjhā karo
us ke idrāk meñ daḳhl-e-tashbīh kyā isti.āra hai kyā
ek miTTī ke ghar meñ jiye umr bhar aur miTTī hue
kul jahāñ yuuñ to 'akbar' hamāre liye par hamārā hai kyā
kahkashan ke tanazur mein hum kya hamara sitara hai kya
an-ginat aaftabon ki aqlim mein ek sharara hai kya
kaun samjhe zaban barg-o-ashjar ki dasht-o-kohsar ki
kaun jaane ki is be-karan KHamushi mein ishaara hai kya
hum mohabbat ko ek mansab-e-ashiqana samajhte rahe
ye na socha mohabbat ki saudagari mein KHasara hai kya
ye tilism-e-tamasha hai sara jahan ek tilism-e-nazar
raushni ka samundar hain aankhen magar aashkara hai kya
wo hai be-misl us ko usi ke hawale se samjha karo
us ke idrak mein daKHl-e-tashbih kya istiara hai kya
ek miTTi ke ghar mein jiye umr bhar aur miTTi hue
kul jahan yun to 'akbar' hamare liye par hamara hai kya
- Book : اردو غزل کا مغربی دریچہ(یورپ اور امریکہ کی اردو غزل کا پہلا معتبر ترین انتخاب) (Pg. 172)
- Publication : کتاب سرائے بیت الحکمت لاہور کا اشاعتی ادارہ
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.