kahkashan zer-e-gam kar lun kya
kahkashāñ zer-e-gām kar luuñ kyā
itnā ūñchā maqām kar luuñ kyā
raas aayā na ehtirām-e-sanam
apnā ḳhud ehtirām kar luuñ kyā
mah-o-ḳhurshīd kī tarah maiñ bhī
safar-e-nā-tamām kar luuñ kyā
ḳhidmat-e-ḳhvāhishāt kī ḳhātir
har-nafas ko ġhulām kar luuñ kyā
yās-o-hirmāñ kī zarb se Dar kar
apnā jiinā harām kar luuñ kyā
shukr bhūlūñ shikāyateñ sīkhūñ
zehniyat apnī ḳhaam kar luuñ kyā
āshiqāna namāz kī ḳhātir
apne dil ko imaam kar luuñ kyā
zindagī kī bahāreñ kyā kahne
aur kuchh din qiyām kar luuñ kyā
aa ga.ī sāmne shabīh-e-sanam
ai 'musavvir' salām kar luuñ kyā
kahkashan zer-e-gam kar lun kya
itna uncha maqam kar lun kya
ras aaya na ehtiram-e-sanam
apna KHud ehtiram kar lun kya
mah-o-KHurshid ki tarah main bhi
safar-e-na-tamam kar lun kya
KHidmat-e-KHwahishat ki KHatir
har-nafas ko ghulam kar lun kya
yas-o-hirman ki zarb se Dar kar
apna jina haram kar lun kya
shukr bhulun shikayaten sikhun
zehniyat apni KHam kar lun kya
aashiqana namaz ki KHatir
apne dil ko imam kar lun kya
zindagi ki bahaaren kya kahne
aur kuchh din qiyam kar lun kya
aa gai samne shabih-e-sanam
ai 'musawwir' salam kar lun kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.