kahna ho jo bhi saf kaho be-jhijak kaho
kahnā ho jo bhī saaf kaho be-jhijak kaho
apnoñ se koī baat chhupātā nahīñ koī
shāyad kisī adū ne tire kaan bhar diye
varna nigāh yuuñ to churātā nahīñ koī
jis meñ zarā bhī kibr kā hotā hai shā.iba
us ko nigāh meñ kabhī laatā nahīñ koī
un ko zarūr mujh se lagāvaT hai kuchh na kuchh
yuuñ hāl-e-dil kisī ko sunātā nahīñ koī
kahna ho jo bhi saf kaho be-jhijak kaho
apnon se koi baat chhupata nahin koi
shayad kisi adu ne tere kan bhar diye
warna nigah yun to churaata nahin koi
jis mein zara bhi kibr ka hota hai shaiba
us ko nigah mein kabhi lata nahin koi
un ko zarur mujh se lagawaT hai kuchh na kuchh
yun haal-e-dil kisi ko sunata nahin koi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.