kahne ke liye kyon koi tayyar nahin hai
kahne ke liye kyoñ koī tayyār nahīñ hai
duniyā hai yahāñ kaun adākār nahīñ hai
jangal kī taraf lauT rahe haiñ ye parinde
ab shahr meñ gunjā.ish-e-ashjār nahīñ hai
ghar aur ujāḌegī abhī andhī siyāsat
sar par Tañgī un ke koī talvār nahīñ hai
ik ḳhauf musallat hai jo jiine nahīñ detā
hālāñki vatan kā vo bhī ġhaddār nahīñ hai
tārīḳh bhulā detī hai un qaumoñ ko aksar
dīvāna koī jin meñ sar-e-dār nahīñ hai
atrāf ke māhaul se kuchh siikh lo 'ātish'
tanhā jo nazar aa.e samajh-dār nahīñ hai
kahne ke liye kyon koi tayyar nahin hai
duniya hai yahan kaun adakar nahin hai
jangal ki taraf lauT rahe hain ye parinde
ab shahr mein gunjaish-e-ashjar nahin hai
ghar aur ujaDegi abhi andhi siyasat
sar par Tangi un ke koi talwar nahin hai
ek KHauf musallat hai jo jine nahin deta
haalanki watan ka wo bhi ghaddar nahin hai
tariKH bhula deti hai un qaumon ko aksar
diwana koi jin mein sar-e-dar nahin hai
atraf ke mahaul se kuchh sikh lo 'atish'
tanha jo nazar aae samajh-dar nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.