kahne ko har qadam pe ujalon ka jal hai
kahne ko har qadam pe ujāloñ kā jaal hai
phir bhī vo tīrgī hai ki chalnā muhāl hai
dil kā mu'āmla na jigar kā savāl hai
daur-e-junūñ meñ jaan kā bachnā muhāl hai
vo aa.ina bhī dekhte jaate haiñ saath saath
kahte bhī jā rahe haiñ ki vallah kamāl hai
mā.il-ba-iltifāt unheñ pā rahā huuñ maiñ
is meñ bhī lag rahā hai zamāne kī chaal hai
jis kā javāb de na sakī maut kī namī
ye zindagī vo ek sulagtā savāl hai
ab rahbaroñ ke bas kī kahāñ rah ga.ī hai baat
manzil se pūchh leñge tirā kyā ḳhayāl hai
qaa.em hamāre dam se 'kañval' hai vaqār-e-'ishq
har shai ko is jahāñ meñ vagarna zavāl hai
kahne ko har qadam pe ujalon ka jal hai
phir bhi wo tirgi hai ki chalna muhaal hai
dil ka mu'amla na jigar ka sawal hai
daur-e-junun mein jaan ka bachna muhaal hai
wo aaina bhi dekhte jate hain sath sath
kahte bhi ja rahe hain ki wallah kamal hai
mail-ba-iltifat unhen pa raha hun main
is mein bhi lag raha hai zamane ki chaal hai
jis ka jawab de na saki maut ki nami
ye zindagi wo ek sulagta sawal hai
ab rahbaron ke bas ki kahan rah gai hai baat
manzil se puchh lenge tera kya KHayal hai
qaem hamare dam se 'kanwal' hai waqar-e-'ishq
har shai ko is jahan mein wagarna zawal hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.