kahne ko to hai kya nahin
kahne ko to hai kyā nahīñ
kyuuñ hai ḳhalish patā nahīñ
mujh se hue vo kyuuñ ḳhafā
un se mujhe gilā nahīñ
jis kī thī ham ko justujū
kyuuñ vo hameñ milā nahīñ
phir bhī sazā mujhe milī
jab ki merī ḳhatā nahīñ
uljhā huuñ itnā ishq meñ
mujh ko mirā patā nahīñ
yuuñ to bahut haiñ rāhateñ
ġham kī mire davā nahīñ
kahne ko to haiñ duur vo
dil se magar judā nahīñ
gardish meñ huuñ ghirā huā
aadmī maiñ burā nahīñ
kahne ko to hai kya nahin
kyun hai KHalish pata nahin
mujh se hue wo kyun KHafa
un se mujhe gila nahin
jis ki thi hum ko justuju
kyun wo hamein mila nahin
phir bhi saza mujhe mili
jab ki meri KHata nahin
uljha hun itna ishq mein
mujh ko mera pata nahin
yun to bahut hain rahaten
gham ki mere dawa nahin
kahne ko to hain dur wo
dil se magar juda nahin
gardish mein hun ghira hua
aadmi main bura nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.