kahne laga khulte hue darwaza hawa se
kahne lagā khulte hue darvāza havā se
ye pahlā ta.āruf hai mirā taaza havā se
phir chuum ga.iiñ phuul ke ruḳhsār havā.eñ
phir phuul ke chehre pe lagā ġhāza havā se
ḳhushbū kā sarāpā hai ki phūloñ kī hai tarkīb
vo aa.e to ho jaatā hai andāza havā se
rakhte haiñ muñDeroñ pe diye apne jalā kar
ham ne kabhī pūchhā nahīñ ḳhamyāza havā se
kal raat darīchoñ meñ koī aur nahīñ thā
bikhrā thā ḳhayālāt kā shīrāza havā se
kahnā hai use jo bhī 'hasan' phone pe kah do
ab tez hai raftār meñ āvāza havā se
kahne laga khulte hue darwaza hawa se
ye pahla taaruf hai mera taza hawa se
phir chum gain phul ke ruKHsar hawaen
phir phul ke chehre pe laga ghaza hawa se
KHushbu ka sarapa hai ki phulon ki hai tarkib
wo aae to ho jata hai andaza hawa se
rakhte hain munDeron pe diye apne jala kar
hum ne kabhi puchha nahin KHamyaza hawa se
kal raat darichon mein koi aur nahin tha
bikhra tha KHayalat ka shiraaza hawa se
kahna hai use jo bhi 'hasan' phone pe kah do
ab tez hai raftar mein aawaza hawa se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.