kahne laga wo ro ke ye ek baat ek din
kahne lagā vo ro ke ye ik baat ek din
TūTegā is tarah se mirā saath ek din
jis din hamārā saath chhuTegā to dekhnā
hogī hamārī āñkhoñ se barsāt ek din
koī to aa.e baiThne ko paas ek shab
phir us ko kuchh sunāo hikāyāt ek din
dil ke qarīb rakhtā thā kyā is liye tumheñ
ham ko hī tum dikhāoge auqāt ek din
ye soch ke maiñ laatā huuñ mehnat se roTiyāñ
mere badal hī jā.eñge hālāt ek din
jaane lage vo jis ghaḌī 'haidar' ne ye kahā
hogī hamārī phir se mulāqāt ek din
kahne laga wo ro ke ye ek baat ek din
TuTega is tarah se mera sath ek din
jis din hamara sath chhuTega to dekhna
hogi hamari aankhon se barsat ek din
koi to aae baiThne ko pas ek shab
phir us ko kuchh sunao hikayat ek din
dil ke qarib rakhta tha kya is liye tumhein
hum ko hi tum dikhaoge auqat ek din
ye soch ke main lata hun mehnat se roTiyan
mere badal hi jaenge haalat ek din
jaane lage wo jis ghaDi 'haidar' ne ye kaha
hogi hamari phir se mulaqat ek din
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.