kaho dair-o-haram ya nam apna aastan rakh do
kaho dair-o-haram yā naam apnā āstāñ rakh do
sar-e-taslīm ḳham hai tum jahāñ chāho vahāñ rakh do
ghaTā kar qaid-e-āzādī baḌhā do ġham asīrī kā
qafas ko āshiyāñ meñ yā qafas meñ āshiyāñ rakh do
tasallī dene vaalo ham tahī-dastān-e-qismat haiñ
sar-e-dāman jo mumkin ho to dil kī dhajjiyāñ rakh do
zarūrat jaan kī dil ko maiñ be-parvā-e-hastī huuñ
jahāñ dil hai vahīñ ab merī jān-e-nā-tavāñ rakh do
ḳhudā kahlāo yā kuchh aur sab kuchh mujh ko kahnā hai
idhar aao mire muñh meñ tumhīñ apnī zabāñ rakh do
vafā kā raaz is majme.a meñ kholā jā nahīñ saktā
sivā mahshar ke koī aur roz-e-imtihāñ rakh do
mohabbat aur tasallī us pe hosh-e-zindagī 'kaifī'
nahīñ uThtā agar kāñdhe se ye bār-e-garāñ rakh do
kaho dair-o-haram ya nam apna aastan rakh do
sar-e-taslim KHam hai tum jahan chaho wahan rakh do
ghaTa kar qaid-e-azadi baDha do gham asiri ka
qafas ko aashiyan mein ya qafas mein aashiyan rakh do
tasalli dene walo hum tahi-dastan-e-qismat hain
sar-e-daman jo mumkin ho to dil ki dhajjiyan rakh do
zarurat jaan ki dil ko main be-parwa-e-hasti hun
jahan dil hai wahin ab meri jaan-e-na-tawan rakh do
KHuda kahlao ya kuchh aur sab kuchh mujh ko kahna hai
idhar aao mere munh mein tumhin apni zaban rakh do
wafa ka raaz is majmea mein khola ja nahin sakta
siwa mahshar ke koi aur roz-e-imtihan rakh do
mohabbat aur tasalli us pe hosh-e-zindagi 'kaifi'
nahin uThta agar kandhe se ye bar-e-garan rakh do
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.