kaho farar se bandhe na panw mein aankhen
kaho farār se bāñdhe na paañv meñ āñkheñ
qadam qadam pe bichhī haiñ dishāoñ meñ āñkheñ
na jaane kaun sī hogī talāsh kī manzil
bhaTak rahī haiñ abhī tak ḳhalāoñ meñ āñkheñ
karāh uTThī thī sargoshī koī chupke se
lagī thī Thes ki ug aa.iiñ paañv meñ āñkheñ
parinde ab nahīñ manzar guzārne vaale
hazār ḳhvāb sajā.eñ fazāoñ meñ āñkheñ
pahā.diyāñ huī irfān-e-āgahī se bahār
jo mo.atakif huiiñ andhī guphāoñ meñ āñkheñ
bikharte shahroñ ke manzar inheñ dikhāo bhī
umiid se haiñ bahut ab ke gaañv meñ āñkheñ
fazā-nashīn hai tezāb raushnī 'parvez'
nikalte Dartī haiñ ab to havāoñ meñ āñkheñ
kaho farar se bandhe na panw mein aankhen
qadam qadam pe bichhi hain dishaon mein aankhen
na jaane kaun si hogi talash ki manzil
bhaTak rahi hain abhi tak KHalaon mein aankhen
karah uTThi thi sargoshi koi chupke se
lagi thi Thes ki ug aain panw mein aankhen
parinde ab nahin manzar guzarne wale
hazar KHwab sajaen fazaon mein aankhen
pahadiyan hui irfan-e-agahi se bahaar
jo moatakif huin andhi guphaon mein aankhen
bikharte shahron ke manzar inhen dikhao bhi
umid se hain bahut ab ke ganw mein aankhen
faza-nashin hai tezab raushni 'parwez'
nikalte Darti hain ab to hawaon mein aankhen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.