kaho kis tarah hon qail sukun-e-qalb-e-muztar ke
kaho kis tarah hoñ qaa.il sukūn-e-qalb-e-muztar ke
zarā jumbish huī paidā hue āsār mahshar ke
phirī haiñ aa ki sahar-āfrīñ nazreñ ye kyā kar ke
abhī to jaan sī aa.ī thī ummīdoñ meñ marmar ke
falak ne jis qadar paidā kiye andāz mahshar ke
karishme haiñ vo sab terī adā-e-fitna-parvar ke
tabassum meñ bhī dil ġham kī jhalak pahchān letā hai
ye dard-o-ġham azal se rahne vaale haiñ isī ghar ke
hamārī intihā-e-nā-tavānī hadd-e-manzil hai
salāmat larzish-e-pā kaun le ehsān rahbar ke
kise mālūm husn-e-jalvagar kī kār-farmā.ī
nazar kis se milāte dekhne vaale nazar bhar ke
mire zabt-e-alam ne tāb-e-goyā.ī na dī mujh ko
sunātā ahl-e-ālam ko fasāne zindagī bhar ke
zabāñ kaTtī hai jis dar par sadā dete duā dete
gadā kahlāte haiñ 'hirmāñ' ham us bedard ke dar ke
kaho kis tarah hon qail sukun-e-qalb-e-muztar ke
zara jumbish hui paida hue aasar mahshar ke
phiri hain aa ki sahar-afrin nazren ye kya kar ke
abhi to jaan si aai thi ummidon mein marmar ke
falak ne jis qadar paida kiye andaz mahshar ke
karishme hain wo sab teri ada-e-fitna-parwar ke
tabassum mein bhi dil gham ki jhalak pahchan leta hai
ye dard-o-gham azal se rahne wale hain isi ghar ke
hamari intiha-e-na-tawani hadd-e-manzil hai
salamat larzish-e-pa kaun le ehsan rahbar ke
kise malum husn-e-jalwagar ki kar-farmai
nazar kis se milate dekhne wale nazar bhar ke
mere zabt-e-alam ne tab-e-goyai na di mujh ko
sunata ahl-e-alam ko fasane zindagi bhar ke
zaban kaTti hai jis dar par sada dete dua dete
gada kahlate hain 'hirman' hum us bedard ke dar ke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.