kaho maal-e-arzu ho kya agar ghuTe na dam
kaho ma.āl-e-ārzū ho kyā agar ghuTe na dam
ki apne iḳhtiyār meñ na arz-e-ġham na zabt-e-ġham
tirā kahīñ pata nahīñ uTheñ to kis taraf qadam
udhar baḌhūñ to but-kada idhar chalūñ to hai haram
mile the shaiḳh-o-barhaman fareb haiñ tirī qasam
use hī dhan ḳhudā ḳhudā use lagan sanam sanam
hazār kāvishoñ pe bhī hai zindagī rahīn-e-ġham
nafas nafas nazar nazar ravish ravish qadam qadam
ḳhirad kī baat pe na jā junūñ ke mai-kada meñ aa
yahāñ na rasm-e-pesh-o-pas na koī fikr-e-besh-o-kam
uThā na bār-e-bandagī ki mohtaram hai zindagī
dhaḌak rahā hai dil agar khanak rahā hai jām-e-jam
havā-e-shauq tham ga.ī havas kī mel jam ga.ī
kahāñ vo hashr aarzū na dil tapāñ na aañkh nam
yahī ḳhalish hai muttasil sar-e-chaman hadīs-e-dil
kaTīñ hazār uñgliyāñ kareñge ham yūñhī raqam
hai un se be-ta.alluqī na dostī na dushmanī
batāo 'hosh' kyā kareñ kahīñ ke ab rahe na ham
kaho maal-e-arzu ho kya agar ghuTe na dam
ki apne iKHtiyar mein na arz-e-gham na zabt-e-gham
tera kahin pata nahin uThen to kis taraf qadam
udhar baDhun to but-kada idhar chalun to hai haram
mile the shaiKH-o-barhaman fareb hain teri qasam
use hi dhan KHuda KHuda use lagan sanam sanam
hazar kawishon pe bhi hai zindagi rahin-e-gham
nafas nafas nazar nazar rawish rawish qadam qadam
KHirad ki baat pe na ja junun ke mai-kada mein aa
yahan na rasm-e-pesh-o-pas na koi fikr-e-besh-o-kam
uTha na bar-e-bandagi ki mohtaram hai zindagi
dhaDak raha hai dil agar khanak raha hai jam-e-jam
hawa-e-shauq tham gai hawas ki mel jam gai
kahan wo hashr aarzu na dil tapan na aankh nam
yahi KHalish hai muttasil sar-e-chaman hadis-e-dil
kaTin hazar ungliyan karenge hum yunhi raqam
hai un se be-talluqi na dosti na dushmani
batao 'hosh' kya karen kahin ke ab rahe na hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.