kaho tum apni tumhein kya mila jafa kar ke
kaho tum apnī tumheñ kyā milā jafā kar ke
hameñ to dard kī daulat milī vafā kar ke
hayāt terī hai aur tere kaam aa jaa.e
tirī Dagar pe chalā huuñ ye faisla kar ke
utar na aa.e zamāna muḳhālifat pe kahīñ
ki jā rahā huuñ kisī ko charāġh-pā kar ke
junūñ se tark-e-ta.alluq kā ye natīja hai
bhaTak rahā huuñ ḳhirad ko maiñ rahnumā kar ke
vajūd un kā hai ik daaġh rū-e-hastī par
jo baiTh jaate haiñ qismat kā aasrā kar ke
vo aadmī hai haqīqat meñ aadmī 'qāsid'
ḳhatā pe jis ko nadāmat bhī ho ḳhatā kar ke
kaho tum apni tumhein kya mila jafa kar ke
hamein to dard ki daulat mili wafa kar ke
hayat teri hai aur tere kaam aa jae
teri Dagar pe chala hun ye faisla kar ke
utar na aae zamana muKHalifat pe kahin
ki ja raha hun kisi ko charagh-pa kar ke
junun se tark-e-talluq ka ye natija hai
bhaTak raha hun KHirad ko main rahnuma kar ke
wajud un ka hai ek dagh ru-e-hasti par
jo baiTh jate hain qismat ka aasra kar ke
wo aadmi hai haqiqat mein aadmi 'qasid'
KHata pe jis ko nadamat bhi ho KHata kar ke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.