kaho tum ye zehni aziyyat nahin hai
kaho tum ye zehnī aziyyat nahīñ hai
mujhe tum se shāyad mohabbat nahīñ hai
abhī tum ko ḳhud par bharosa bahut hai
abhī tum ko merī zarūrat nahīñ hai
dikhā.e mujhe pech-o-ḳham zindagī ne
mujhe sahl raste kī 'ādat nahīñ hai
koī ek insāñ to aisā dikhā do
gunāhoñ se jis ko ki raġhbat nahīñ hai
kisī aur hasīna pe aayā hai dil kyā
jo pahlī sī tujh ko mohabbat nahīñ hai
kahāñ kab dhamāke se marnā hai ham ko
muayyan koī ab to muddat nahīñ hai
fazāoñ meñ raqsāñ hai ik be-yaqīnī
mohabbat meñ terī vo shiddat nahīñ hai
vo barbād kartā hai logoñ kī duniyā
zarā aañkh meñ par nadāmat nahīñ hai
sarokār tum ko nahīñ hāl-e-dil se
hameñ bhī sunāne kī hājat nahīñ hai
kaho tum ye zehni aziyyat nahin hai
mujhe tum se shayad mohabbat nahin hai
abhi tum ko KHud par bharosa bahut hai
abhi tum ko meri zarurat nahin hai
dikhae mujhe pech-o-KHam zindagi ne
mujhe sahl raste ki 'adat nahin hai
koi ek insan to aisa dikha do
gunahon se jis ko ki raghbat nahin hai
kisi aur hasina pe aaya hai dil kya
jo pahli si tujh ko mohabbat nahin hai
kahan kab dhamake se marna hai hum ko
muayyan koi ab to muddat nahin hai
fazaon mein raqsan hai ek be-yaqini
mohabbat mein teri wo shiddat nahin hai
wo barbaad karta hai logon ki duniya
zara aankh mein par nadamat nahin hai
sarokar tum ko nahin haal-e-dil se
hamein bhi sunane ki hajat nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.