kahta yahi ghubar sar-e-rahguzar hai
kahtā yahī ġhubār sar-e-rahguzār hai
lenā qadam har ik ke hamārā shi.ār hai
haiñ dafn is meñ ahd-e-javānī kī hasrateñ
pahlū meñ dil nahīñ hai hamāre mazār hai
kāñTe taḌap rahe haiñ unheñ pūchhtā hai kaun
gul ke liye hī baaġh meñ fasl-e-bahār hai
dil ko ba-qadr-e-shauq na rāhat milī na ġham
taqdīr meñ ġharīb kī gul hai na ḳhaar hai
ashk-e-vafā se gard-e-kudūrat na dhul sakī
ya.anī tumhāre dil meñ abhī tak ġhubār hai
kahta yahi ghubar sar-e-rahguzar hai
lena qadam har ek ke hamara shiar hai
hain dafn is mein ahd-e-jawani ki hasraten
pahlu mein dil nahin hai hamare mazar hai
kanTe taDap rahe hain unhen puchhta hai kaun
gul ke liye hi bagh mein fasl-e-bahaar hai
dil ko ba-qadr-e-shauq na rahat mili na gham
taqdir mein gharib ki gul hai na KHar hai
ashk-e-wafa se gard-e-kudurat na dhul saki
yani tumhaare dil mein abhi tak ghubar hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.