kahte hain ab hai shauq mulaqat ka mujhe
kahte haiñ ab hai shauq mulāqāt kā mujhe
jab hausla rahā hī nahīñ baat kā mujhe
samjhā ye maiñ ki dil ko mire phertā hai ye
baasī jab us ne paan rahā baat kā mujhe
din-rāt dekhtā huuñ hasīnoñ ke tazkire
rahtā hai shauq apnī hikāyāt kā mujhe
aatī haiñ yaad yaar ke kānoñ kī bijliyāñ
mausam na jiine degā ki barsāt kā mujhe
mujh ko agar ġharaz hai to ik un kī zaat se
'āshiq' nahīñ hai Dar to kisī zaat kā mujhe
kahte hain ab hai shauq mulaqat ka mujhe
jab hausla raha hi nahin baat ka mujhe
samjha ye main ki dil ko mere pherta hai ye
basi jab us ne pan raha baat ka mujhe
din-raat dekhta hun hasinon ke tazkire
rahta hai shauq apni hikayat ka mujhe
aati hain yaad yar ke kanon ki bijliyan
mausam na jine dega ki barsat ka mujhe
mujh ko agar gharaz hai to ek un ki zat se
'ashiq' nahin hai Dar to kisi zat ka mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.