kahte hain be-niyaz hai har KHushk-o-tar se wo
kahte hain be-niyaz hai har KHushk-o-tar se wo
Kausar Parveen Kausar
MORE BYKausar Parveen Kausar
kahte haiñ be-niyāz hai har ḳhushk-o-tar se vo
rishta aTuuT rakhtā hai lekin nazar se vo
parde se chhan rahī haiñ tajallī kī jhalkiyāñ
ḳhud ko chhupā sakā na hamārī nazar se vo
rāh-e-vafā meñ ham ko tajassus banā rahā
har chand mutma.in rahā apne safar se vo
pal meñ badalte dekhā hai mausam bahār kā
muhtāt be-sabab nahīñ barg-o-samar se vo
dastār rakhnā sar pe magar dekh bhaal kar
bezār ho na jaa.e kahīñ apne sar se vo
mā'būd-e-zāhirī ko yaqīñ ho na ho magar
vāqif hai ḳhūb-tar mire 'aib-o-hunar se vo
'kausar' nigāh-e-shauq kī tāsīr dekhnā
guzregā ek roz yaqīnan idhar se vo
kahte hain be-niyaz hai har KHushk-o-tar se wo
rishta aTuT rakhta hai lekin nazar se wo
parde se chhan rahi hain tajalli ki jhalkiyan
KHud ko chhupa saka na hamari nazar se wo
rah-e-wafa mein hum ko tajassus bana raha
har chand mutmain raha apne safar se wo
pal mein badalte dekha hai mausam bahaar ka
muhtat be-sabab nahin barg-o-samar se wo
dastar rakhna sar pe magar dekh bhaal kar
bezar ho na jae kahin apne sar se wo
ma'bud-e-zahiri ko yaqin ho na ho magar
waqif hai KHub-tar mere 'aib-o-hunar se wo
'kausar' nigah-e-shauq ki tasir dekhna
guzrega ek roz yaqinan idhar se wo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.