kahte hain dagh-e-ishq miTae na jaenge
kahte hain dagh-e-ishq miTae na jaenge
Gulamullah Afsoon Bhopali
MORE BYGulamullah Afsoon Bhopali
kahte haiñ dāġh-e-ishq miTā.e na jā.eñge
jalte hue charāġh bujhā.e na jā.eñge
ye dil azal se teġh-e-sitam kā shikār hai
is dil ke tum se naaz uThā.e na jā.eñge
vaa.iz tujhe butoñ se ġharaz kyā ḳhudā se Dar
be-ghar hue to phir ye basā.e na jā.eñge
jab tak rahegī sham-e-mohabbat meñ raushnī
fānūs nafratoñ ke jalā.e na jā.eñge
aa hī ga.e haiñ ab jo tirī jalva-gāh tak
dil ko baġhair tuur banā.e na jā.eñge
āzurda ḳhātiroñ se kināra na kījiye
ye diip bujh ga.e to jalā.e na jā.eñge
naḳhvat se kushtagān-e-vafā ko na dekhiye
ye naqsh zindagī meñ miTā.e na jā.eñge
ye kyā ḳhabar thī tark-e-vafā par bhī vo hameñ
yuuñ yaad ā.eñge ki bhulā.e na jā.eñge
shikvoñ se ḳhatm hoñgī na aapas kī ranjisheñ
ye dasht bastiyoñ se miTā.e na jā.eñge
'afsūñ' tire vaqār-e-mohabbat kā zikr kyā
tere to naqsh-e-pā bhī miTā.e na jā.eñge
kahte hain dagh-e-ishq miTae na jaenge
jalte hue charagh bujhae na jaenge
ye dil azal se tegh-e-sitam ka shikar hai
is dil ke tum se naz uThae na jaenge
waiz tujhe buton se gharaz kya KHuda se Dar
be-ghar hue to phir ye basae na jaenge
jab tak rahegi sham-e-mohabbat mein raushni
fanus nafraton ke jalae na jaenge
aa hi gae hain ab jo teri jalwa-gah tak
dil ko baghair tur banae na jaenge
aazurda KHatiron se kinara na kijiye
ye dip bujh gae to jalae na jaenge
naKHwat se kushtagan-e-wafa ko na dekhiye
ye naqsh zindagi mein miTae na jaenge
ye kya KHabar thi tark-e-wafa par bhi wo hamein
yun yaad aaenge ki bhulae na jaenge
shikwon se KHatm hongi na aapas ki ranjishen
ye dasht bastiyon se miTae na jaenge
'afsun' tere waqar-e-mohabbat ka zikr kya
tere to naqsh-e-pa bhi miTae na jaenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.