kahte hain hum udhar hain sitara hai jis taraf
kahte haiñ ham udhar haiñ sitārā hai jis taraf
maiñ jāntā huuñ un kā ishārā hai jis taraf
sab chāhte haiñ sat.h-e-samandar pe likkhe jaa.eñ
par jaate haiñ udhar ko kinārā hai jis taraf
ye kyā zarūr hai yahāñ umreñ guzār deñ
ik hādse ne ham ko utārā hai jis taraf
ye āsmān aa.ine kī shakl hai koī
ham us taraf haiñ us kā nazārā hai jis taraf
kahte hain hum udhar hain sitara hai jis taraf
main jaanta hun un ka ishaara hai jis taraf
sab chahte hain sath-e-samandar pe likkhe jaen
par jate hain udhar ko kinara hai jis taraf
ye kya zarur hai yahan umren guzar den
ek hadse ne hum ko utara hai jis taraf
ye aasman aaine ki shakl hai koi
hum us taraf hain us ka nazara hai jis taraf
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.