kahte hain jis ko ishq mere bhai jang hai
kahte haiñ jis ko ishq mire bhaa.ī jang hai
ye do diloñ ke biich ilāqā.ī jang hai
tanhā.ī se ilāqa hai mujh ko mire aziiz
mere liye ye anjuman-ārā.ī jang hai
jo laḌ rahā huuñ mil ke mohabbat ke saath maiñ
ye jang bhī miyāñ mirī ābā.ī jang hai
sochoñ kā iḳhtilāf hai ye aur kuchh nahīñ
so pesh-raft aur na paspā.ī jang hai
maiñ ḳhud se kar rahā huuñ so mujh ko batā.iye
zerīñ hai sāhabo ki ye bālā.ī jang hai
ham ishq ke mahāz pe haiñ sāhibān-e-shauq
kiije hamārī hausla-afzā.ī jang hai
kahte hain jis ko ishq mere bhai jang hai
ye do dilon ke bich ilaqai jang hai
tanhai se ilaqa hai mujh ko mere aziz
mere liye ye anjuman-arai jang hai
jo laD raha hun mil ke mohabbat ke sath main
ye jang bhi miyan meri aabai jang hai
sochon ka iKHtilaf hai ye aur kuchh nahin
so pesh-raft aur na paspai jang hai
main KHud se kar raha hun so mujh ko bataiye
zerin hai sahabo ki ye baalai jang hai
hum ishq ke mahaz pe hain sahiban-e-shauq
kije hamari hausla-afzai jang hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.