Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kahte hain jis ko nazir suniye Tuk is ka bayan

Nazeer Akbarabadi

kahte hain jis ko nazir suniye Tuk is ka bayan

Nazeer Akbarabadi

kahte haiñ jis ko 'nazīr' suniye Tuk is bayāñ

thā vo moallim ġharīb buzdil-o-tarsanda-jāñ

koī kitāb us ke ta.iiñ saaf na thī dars

aa.e to ma.anī kahe varna paḌhā.ī ravāñ

fahm na thā ilm se kuchh arabī ke use

fārsī meñ haañ magar samjhe thā kuchh īn-o-āñ

likhne ye tarz thī kuchh jo likhe thā kabhī

puḳhtagī-o-ḳhāmī ke us thā ḳhat darmiyāñ

sher-o-ġhazal ke sivā shauq na thā kuchh use

apne usī shaġhl meñ rahtā thā ḳhush har zamāñ

sust-ravish past-qad sāñvlā hindī nazhād

tan bhī kuchh aisā thā qad ke muāfiq ayaañ

māthe pe ik ḳhaal thā chhoTā masse ke taur

thā vo paḌā aan kar abruoñ ke darmiyāñ

vaz.a-e-subuk us thī tis pe na rakhtā thā riish

mūchheñ thiiñ aur kānoñ par paTTe bhī the pamba-sāñ

piirī meñ jaisī ki thī us ko dil-afsurdagī

vaisī thī un dinoñ jin dinoñ meñ thā javāñ

jitne ġharaz kaam haiñ aur paḌhāne sivā

chāhiye kuchh us se hoñ itnī liyāqat kahāñ

fazl ne allāh ke us ko diyā umr-bhar

izzat-o-hurmat ke saath pārcha-o-āb-o-nāñ

kahte hain jis ko 'nazir' suniye Tuk is ka bayan

tha wo moallim gharib buzdil-o-tarsanda-jaan

koi kitab us ke tain saf na thi dars ki

aae to mani kahe warna paDhai rawan

fahm na tha ilm se kuchh arabi ke use

farsi mein han magar samjhe tha kuchh in-o-an

likhne ki ye tarz thi kuchh jo likhe tha kabhi

puKHtagi-o-KHami ke us ka tha KHat darmiyan

sher-o-ghazal ke siwa shauq na tha kuchh use

apne usi shaghl mein rahta tha KHush har zaman

sust-rawish past-qad sanwla hindi nazhad

tan bhi kuchh aisa hi tha qad ke muafiq ayan

mathe pe ek KHal tha chhoTa sa masse ke taur

tha wo paDa aan kar abruon ke darmiyan

waza-e-subuk us ki thi tis pe na rakhta tha rish

muchhen thin aur kanon par paTTe bhi the pamba-san

piri mein jaisi ki thi us ko dil-afsurdagi

waisi hi thi un dinon jin dinon mein tha jawan

jitne gharaz kaam hain aur paDhane siwa

chahiye kuchh us se hon itni liyaqat kahan

fazl ne allah ke us ko diya umr-bhar

izzat-o-hurmat ke sath parcha-o-ab-o-nan

Source :
  • Deewan-e-Nazeer Akbarabadi
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now