kahte hain ki maiKHane mein mai aam kahan hai
kahte haiñ ki maiḳhāne meñ mai aam kahāñ hai
rindoñ kī yahī baat to saaqī pe girāñ hai
khāte hī rahe va.ada-e-ta.amīr ke dhoke
ai husn-e-gul-o-lāla-o-ta.amīr kahāñ hai
kis jurm meñ jiine kī sazā paa.ī hai maiñ ne
nai nik.hat-e-gesū na koī naġhma-e-jāñ hai
ai jān-e-jahāñ jān-e-tamannā tū kahāñ hai
muddat se vahī chashm-e-mohabbat nigarāñ hai
kis din kī rifāqat kā sila mujh ko milā hai
āġhosh-e-havādis meñ bhī thoḌī sī amaañ hai
phūloñ kī mahak laa.ī haiñ fardā kī havā.eñ
shorīda-sarī aaj anādil kī javāñ hai
ma.alūm na thā fitna-e-iblīs kā maskan
ai murshid-e-haq-bīñ tirī fitrat pe gumāñ hai
sūraj kī shuāoñ ke talabgār nahīñ ham
har zarra-e-ḳhākī meñ vahī soz-e-nihāñ hai
jis ḳhaak meñ miltā hai lahū dīda-o-dil kā
is ḳhaak ke siine pe bahāroñ kā samāñ hai
kahte hain ki maiKHane mein mai aam kahan hai
rindon ki yahi baat to saqi pe giran hai
khate hi rahe wada-e-tamir ke dhoke
ai husn-e-gul-o-lala-o-tamir kahan hai
kis jurm mein jine ki saza pai hai main ne
nai nikhat-e-gesu na koi naghma-e-jaan hai
ai jaan-e-jahan jaan-e-tamanna tu kahan hai
muddat se wahi chashm-e-mohabbat nigaran hai
kis din ki rifaqat ka sila mujh ko mila hai
aaghosh-e-hawadis mein bhi thoDi si aman hai
phulon ki mahak lai hain farda ki hawaen
shorida-sari aaj anadil ki jawan hai
malum na tha fitna-e-iblis ka maskan
ai murshid-e-haq-bin teri fitrat pe guman hai
suraj ki shuaon ke talabgar nahin hum
har zarra-e-KHaki mein wahi soz-e-nihan hai
jis KHak mein milta hai lahu dida-o-dil ka
is KHak ke sine pe bahaaron ka saman hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.