Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kahte hain nala-e-hazin sun ke

Shad Lakhnavi

kahte hain nala-e-hazin sun ke

Shad Lakhnavi

MORE BYShad Lakhnavi

    kahte haiñ nāla-e-hazīñ sun ke

    soz ye dil-gudāz haiñ dhun ke

    sar agar kāTnā hai chun chun ke

    āstīn chaḌhāo chun chun ke

    sham'-o-parvāna shab ko the dil-soz

    rah ga.e sub.h tak vo jal-bhun ke

    ghun lagā maut jo aa'zā meñ

    ustuḳhvāñ ḳhaak ho ga.e ghun ke

    maiñ vo nālāñ huuñ jis ke ham-sāya

    koste haiñ fuġhāñ mirī sun ke

    kaT sakā koh-e-ġham na āḳhir-kār

    kohkan sar ko rah gayā dhun ke

    nām-āvar jo 'mīr' the ai 'shād'

    ab hamīñ ik nishān haiñ un ke

    kahte hain nala-e-hazin sun ke

    soz ye dil-gudaz hain dhun ke

    sar agar kaTna hai chun chun ke

    aastin chaDhao chun chun ke

    sham'-o-parwana shab ko the dil-soz

    rah gae subh tak wo jal-bhun ke

    ghun laga maut ka jo aa'za mein

    ustuKHwan KHak ho gae ghun ke

    main wo nalan hun jis ke ham-saya

    koste hain fughan meri sun ke

    kaT saka koh-e-gham na aaKHir-kar

    kohkan sar ko rah gaya dhun ke

    nam-awar jo 'mir' the ai 'shad'

    ab hamin ek nishan hain un ke

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now