kahte hain teri lash pe aaya na jaega
kahte haiñ terī laash pe aayā na jā.egā
to un se ḳhaak meñ bhī milāyā na jā.egā
rahmat pe tujh ko naaz hai isyāñ pe mujh ko naaz
sar tere sāmne to jhukāyā na jā.egā
nazroñ se girne vaale ko kaafī hai ik nazar
kuchh naqsh-e-pā nahīñ ki uThāyā na jā.egā
taklīf kar tabassum-e-pinhāñ se pūchh le
zaḳhm-e-nihāñ ko mujh se dikhāyā na jā.egā
miTtā hai koī hasti-e-mauhūm kā ḳhayāl
vo parda paḌ gayā ki uThāyā na jā.egā
vāraftagī-e-shauq meñ lazzat yahī hai gar
'beḳhud' se apne aap meñ aayā na jā.egā
kahte hain teri lash pe aaya na jaega
to un se KHak mein bhi milaya na jaega
rahmat pe tujh ko naz hai isyan pe mujh ko naz
sar tere samne to jhukaya na jaega
nazron se girne wale ko kafi hai ek nazar
kuchh naqsh-e-pa nahin ki uThaya na jaega
taklif kar tabassum-e-pinhan se puchh le
zaKHm-e-nihan ko mujh se dikhaya na jaega
miTta hai koi hasti-e-mauhum ka KHayal
wo parda paD gaya ki uThaya na jaega
waraftagi-e-shauq mein lazzat yahi hai gar
'beKHud' se apne aap mein aaya na jaega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.