kahte hain yan ki mujh sa koi mah-jabin nahin
kahte haiñ yaañ ki mujh sā koī mah-jabīñ nahīñ''
pyāre jo ham se pūchho to yaañ kyā kahīñ nahīñ
tujh sā to koī husn meñ yaañ nāznīñ nahīñ
yuuñ nāznīñ bahut haiñ pa nāz-āfrīñ nahīñ
saaqī ko jaam dene meñ us ḳhush-nigah ko aah
har dam ishārateñ haiñ ki us ke ta.iiñ nahīñ
jab us nahīñ ke kahne se maane hai vo burā
aaphī phir us ko kahtā huuñ hañs kar nahīñ nahīñ
itnā to chheḌtā huuñ ki kahtā hai jab vo shoḳh
banda tū merā mol ḳharīdā nahīñ nahīñ
saaqī tujhe qasam hai diye jā mujhe tū jaam
yaañ dam meñ dam hai hotī nahīñ jab nahīñ nahīñ
pūchhe hai us se jab koī qatl-e-'nazīr' ko
kahtā hai ham ne maarā hai haañ haañ nahīñ nahīñ
kahte hain yan ki mujh sa koi mah-jabin nahin
pyare jo hum se puchho to yan kya kahin nahin
tujh sa to koi husn mein yan naznin nahin
yun naznin bahut hain pa naz-afrin nahin
saqi ko jam dene mein us KHush-nigah ko aah
har dam ishaaraten hain ki us ke tain nahin
jab us nahin ke kahne se mane hai wo bura
aaphi phir us ko kahta hun hans kar nahin nahin
itna to chheDta hun ki kahta hai jab wo shoKH
banda tu mera mol KHarida nahin nahin
saqi tujhe qasam hai diye ja mujhe tu jam
yan dam mein dam hai hoti nahin jab nahin nahin
puchhe hai us se jab koi qatl-e-'nazir' ko
kahta hai hum ne mara hai han han nahin nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.