kahte ho kuchh kahun to ghalat sar-basar ghalat
kahte ho kuchh kahūñ to ġhalat sar-basar ġhalat
kyoñ kar bane kaho jo har ik baat par ġhalat
to kaun phir durust hai baare tumhīñ kaho
achchhā ġhalat hai baat hamārī agar ġhalat
insāf shart hai magar insāf hai kahāñ
jo bhī hameñ milā so milā dād-gar ġhalat
dekho to muñh vo aa.e hai tis par hamāre muñh
aksar kalām jis kā ġhalat beshtar ġhalat
hotī hai pairvī-e-ġhalat bhī kabhī kabhī
garche nahīñ hai dar-ḳhur-e-taqlīd har ġhalat
jaanā ġhalat kahe hai magar kyoñ na māniye
maanā ġhalat kahe se hai sarf-e-nazar ġhalat
utnī hī balki aur bhī tahsīn chāhiye
dekho kalām-e-ġhair jahāñ jis qadar ġhalat
kyoñ Tok kar kisī ko bhalā ham bure baneñ
jaane balā hamārī koī hai agar ġhalat
kahte ho kuchh kahun to ghalat sar-basar ghalat
kyon kar bane kaho jo har ek baat par ghalat
to kaun phir durust hai bare tumhin kaho
achchha ghalat hai baat hamari agar ghalat
insaf shart hai magar insaf hai kahan
jo bhi hamein mila so mila dad-gar ghalat
dekho to munh wo aae hai tis par hamare munh
aksar kalam jis ka ghalat beshtar ghalat
hoti hai pairwi-e-ghalat bhi kabhi kabhi
garche nahin hai dar-KHur-e-taqlid har ghalat
jaana ghalat kahe hai magar kyon na maniye
mana ghalat kahe se hai sarf-e-nazar ghalat
utni hi balki aur bhi tahsin chahiye
dekho kalam-e-ghair jahan jis qadar ghalat
kyon Tok kar kisi ko bhala hum bure banen
jaane bala hamari koi hai agar ghalat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.