kahte ho mujhko be-adab KHair main be-adab sahi
kahte ho mujh ko be-adab ḳhair maiñ be-adab sahī
tum se shikāyat-e-sitam jab na sahī to ab sahī
bazm-e-azā-e-dost meñ ġham na sahī tarab sahī
hañs na sako jo khul ke tum to ḳhanda-e-zer-e-lab sahī
jitnī hoñ mehrbāniyāñ rakhiye vo ġhair ke liye
aur sitam hoñ jis qadar mere liye vo sab sahī
mujh par agar karam nahīñ us kā mujhe alam nahīñ
koī na koī baat ho qahr sahī ġhazab sahī
lutf-e-karam na ho na ho kam hai vo kyā 'atā ho jo
kāvish-e-be-sabab sahī kulfat-e-be-talab sahī
shauq se kah ke bad-nasīb aap use pukāriye
naam 'rashīd' hai to ho aur bhī ik laqab sahī
kahte ho mujh ko be-adab KHair main be-adab sahi
tum se shikayat-e-sitam jab na sahi to ab sahi
bazm-e-aza-e-dost mein gham na sahi tarab sahi
hans na sako jo khul ke tum to KHanda-e-zer-e-lab sahi
jitni hon mehrbaniyan rakhiye wo ghair ke liye
aur sitam hon jis qadar mere liye wo sab sahi
mujh par agar karam nahin us ka mujhe alam nahin
koi na koi baat ho qahr sahi ghazab sahi
lutf-e-karam na ho na ho kam hai wo kya 'ata ho jo
kawish-e-be-sabab sahi kulfat-e-be-talab sahi
shauq se kah ke bad-nasib aap use pukariye
nam 'rashid' hai to ho aur bhi ek laqab sahi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.