kahte ho tumhein hasb-e-tamanna nahin milta
kahte ho tumheñ hasb-e-tamannā nahīñ miltā
kam daam lagāne se to saudā nahīñ miltā
vo dhuup haqīqat meñ koī dhuup nahīñ hai
jis se kisī insāñ ko pasīna nahīñ miltā
ġhurbat ne atā kī hai mujhe ilm kī daulat
maktab nahīñ jaatā jo vazīfa nahīñ miltā
sab mansab-e-farhād hai teshe ke sabab se
varna ye use ishq meñ rutba nahīñ miltā
badnām-e-zamāna huuñ maiñ sachchā.ī kī ḳhātir
ab to mire bachche ko bhī rishta nahīñ miltā
allāh ġhanī hai vo jise chāhe navāze
mehnat se har ik shaḳhs ko paisa nahīñ miltā
kahte ho tumhein hasb-e-tamanna nahin milta
kam dam lagane se to sauda nahin milta
wo dhup haqiqat mein koi dhup nahin hai
jis se kisi insan ko pasina nahin milta
ghurbat ne ata ki hai mujhe ilm ki daulat
maktab nahin jata jo wazifa nahin milta
sab mansab-e-farhad hai teshe ke sabab se
warna ye use ishq mein rutba nahin milta
badnam-e-zamana hun main sachchai ki KHatir
ab to mere bachche ko bhi rishta nahin milta
allah ghani hai wo jise chahe nawaze
mehnat se har ek shaKHs ko paisa nahin milta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.